Dosto aaj fir ek new story batana chahta hu pura jarur padhe... So story is prakar hai...
Dosto George Eastman ne ek company Kodak Naam ki khola tha jo ki photography ke product bechti thi... Like camera, etc...
So dosto ye company dhire dhire pure market par kabza kar Liya tha Kodak ke camero Ko sabhi kharidna chahte the... Dosto Kodak company us prakar ke camere banati thi jisme user Ko reel aur photo paper lagane hote the.. To dosto camera to ek hi baar kharidna padta tha magar reel aur photo paper Baar Baar user Ko kharidna padta tha... To Kodak company jo bhi paise kamati thi wo sirf reel aur photo paper se kamati thi... Jaise Abhi ka example le lijiye... Dosto agar hum All out kharidte hai to 80rs ke aas pass me AA jaayegi... Aur uski refill bhi milti hai... To dosto All out ki machine to aa gayi but refill khatm hogi to badalna padega refill Ko aur refill 70rs ke aas pass aata hai to All out company bhi sirf refill se jyada paise kamati hai... Wapas Kodak par aate hai to unhone bahut paisa kamaya aur unke product ki bahut maang thi.... Fir Kodak ne ek scientist Ko Bulaya (Naam mujhe dhang se pata nahi sorry frnds)
Kodak |
Dosto story itni hi hai aur ye story isiliye likha kyunki mai kuch samajhana chahta hu....
Dosto time kisi ke liye nahi rukta time humesha chalte rahta hai hum students hai aur Hume time ke saath chalne ki jarurat hai... Dosto agar hum Abhi study par serious nahi rahenge to bahut late ho jaayega aur Baad me serious hone ka koi fayda nahi kyunki time chalte rahega....
Dosto successful Insaan aur students humesha time ke saath chalte hai wo kabhi bahana nahi banate hai... Dosto padhai pure jivan to karni nahi hai Apne main course par focus kariye aur hume time ke saath chalna chahiye....
Dosto agar Kodak company pahle hi apna digital camera launch kar deta to aaj unki company baaki compniyo se aage Hoti... But Kodak company waqt ke saath nahi Chali aur waqt ne unhe kuch sikhaya bhi....
Dosto so time ke hisab se humesha chaliye....
Thanks guys... I hope aapko achha lagega....
History Of Kodak Company
Reviewed by Anuj
on
June 17, 2018
Rating:
No comments: