Dosto aaj kuch important lines dekhte hai. Ye sab lines aap internet par bhi paa sakte hai but mai batata hu kaun kaun se important baate hai aur saath me JALDI aur DER ke baare me bhi baat karenge.
1.Samunder bhi ek jahaz ko nahi duba sakta jabtak jahaz paani ko ander naa aane de. Jaise hi jahaz me paani ghusne lagega waise hi jahaz doobna start kar dega. Waise hi negative thinking hai hum sabme negative thinking hoti hai but jabtak hum in negative thinking ko apne andar naa aane de ya jabtak in negative thinking ko control kar ke rakhenge tabtak negative thinking samunder ki hi tarah humara kuch nahi bigad sakti. Jaise hi hum negative thinking ko apne upar haavi hone denge waise hi humare kaam bigadne start ho jaayenge.
2. Dosto second point ...................Ek imagination ......ke through samajhte hai. Maan lijiye aapke saamne ek blackboard hai aur wo blackboard puri tarah se words aur solved question se bhara pada hai. Aur aap us par kuch likhna chahte hai. To dosto aap us blackboard par tabhi likh paayenge jab aap us blackboard pe likhe gaye saare words ko mita doge. Waise hi agar aapko success chahiye to same isi tarah sabse pahle apne ander ke negative thinking ko nikal dijiye taaki aap in negative thinking ki jagah apne ander positive thinking laa sako jyada se jyada aur aap confident bhi feel karoge.
Jaldi aur Der ke kuchh points
1. Hum sapne bahut jaldi dekhte hai.
Aur sapne ko pura karne ke liye kaam
bahut der se suru karte hai.
Aur sapne ko pura karne ke liye kaam
bahut der se suru karte hai.
2. Hum bharosha bahut jaldi karte hai.
Magar maaf karne me bahut time lagate hai.
Magar maaf karne me bahut time lagate hai.
3. Hum gussa bahut jaldi karte hai.
Magar maafi maangne me bahut time lagate hai.
Magar maafi maangne me bahut time lagate hai.
4. Hum haar bahut jaldi maan lete hai.
Magar kaam bahut der me suru karte hai.
Magar kaam bahut der me suru karte hai.
5.Hum rote bahut jaldi hai.
Magar muskurane me bahut time laga dete hai.
Magar muskurane me bahut time laga dete hai.
Dosto humari jindagi yahi do chizo me fasi hai jaldi aur der. But is se bhi important baat ye hai ki hum time ki value hi nahi samajhte hai. Hum exam ke liye suruat se hi nahi padhte hai.. Hum humesha exam ke karib aane par padhna start karte hai tabtak bahut der ho chuki hoti hai . jo ki hum kuch mahino me use pura nahi kar sakte. Agar hum suruat se hi ispar dhyan dete aur time ki value samajhte to exam aate aate tak hum 2baar apna coure complete kar chuke hote . Because exam to har 6month par hota hai aur 6month me 180days hote hai jisme 4320hours hai aur 8hours/day sone ka hatane ke baad 2280hours bachte hai jisme se hum lagbhag 2000hours barbaad kar dete hai faltu kaamo me aur exam ke karib aane par padhna start karte hai. Jo ki bekar hai. Aur tabtak bahut der ho chuki hoti hai. To dosto time ki value samjho aur jo kaam jaldi start karne ki hai wo jaldi suru kariye aur jo jaruri nahi hai jyada use baad me kariye. Upar kuch points hai jaldi aur der ka but jo kaam hum der me kar rahe hai use jaldi karna hai.
Thanks for reading....
Some Important lines of our lifes.
Reviewed by Anuj
on
July 21, 2018
Rating:
No comments: