Dosto is lines ko samjhane ke
liye mai examples to bahut saare de sakta hu. Lines bhi bahut bol sakta hu but
mai ek student hu aur sayad jeetne bhi meri id me hai wo sabhi students hi hai.
So mai is line ko samjhane ke liye student life se hi ek example dunga aur fir
sochna ki ye itna jaruri kyu hai. Magar example dene se pahle aapko is line ka
meaning batana chahunga.
Apni galtiyon ko bhul jaao aur
bas apni galtiyon se jo bhi aapne sikha hai use yaad rakho.
EXAMPLE – Dosto laghbhag ab sabhi
boards ke exams suru ho chuke hai. Ye example clg life ke students ke liye bhi
hai so jarur padhe. Jaisa ki maine bataya abhi sabhi students ke board exams
suru ho chuke hai. Aksar hum exams ke samay padhne me galti kar dete hai. Kya
aapko pata hai Exams ke date pahle hi
kyu release kar diye jaate hai taaki aapko pata ho aapke kabse exams hai aur
aap usi ke hisab se apni taiyariyo ko pura kar sako.
Yaha par ek 10th class
ke students ke baare me discuss karta hu as an imagination. Maan lijiye aap
abhi 10th class me ho aapne pure saal achhe se padhai nahi ki aur
aap ek avg. students ho and aapke boards exams suru hone se 1month pahle aapko
pata chal gaya ki aapke kabse exams hai. Magar aapne kya kiya ki abhi bahut
time hai hum baad me padhai start karenge. Aise hi aapka 20 se 25days khatm ho
jaate hai. Aur jab exams ki date karib bhi aati hai tab aap aksar wahi cheez
padhna pasand karte ho jo ki aasani se samajh me aa sake agar koi hard topic
hoga to use padhna pasand nahi karoge aur use chhor doge. Dosto aapko batana
chahunga ki Jo cheez badi aasani se samajh me aa jaati ho ya bahut aasan ho to
aksar wo exams me bahut kam aate hai aksar jo hards topic hote hai unme se aane
ke jyada chances hai. Ab exams aa gaye aapne exams diye but aapne dhang se
padha nahi tha n ab galti hum exams room me bhi karte hai uska post kabhi aur
karunga agar aap interested ho to comment karke bata dena.
To humne Teen galti kar di :-
1.
Humne suruaat se padhai nahi ki thi achhe se.
2.
Hume boards exams ki date pata chalne ke baad bhi aap
jyada padhna jaruri nahi samjha.
3.
Jyadatar students examse se pahle wahi cheese padhna
pasand karte hai jo ki unhe aasani se samajh me aati ho.
Ab in galtiyo ko aapko 12th
ya aane wale exams tak yaad nahi rakhna hai aur naa isko wapas dohrana
hai.
Aapko apni galti se seekh lete
hue ye tino galtiyon ko bhulkar ya jo bhi galti aap karte ho use bhulkar n unhi
galtiyon se kuchh sikhkar wapas na karo.
Kyunki galti to har insaan se
hoti hai lekin murkh wo hota hai jo ki apni galtiyon se kabhi kuchh na sikhe ab
aapko khud decide karna hai aap murkh hi rahna chahte hai apni galtiyon ko
dohrakar ya apni galtiyon se seekh lekar aage badhna chahte hai.
Dosto jo bhi Quote ka explanation
karta hu mai wo sabhi mere mind ke dwara
hi imagination hai because itni saral bhasa me to internet pe bhi nahi milega.
Aur ho sake to imagine karte hue padhiyega jyada achhe se samajh paaoge.
Forget The Mistakes
Reviewed by Anuj
on
July 02, 2018
Rating:
No comments: