Kuch important baate aaj fir se
Aaj hum real life se related kuch important baate jaanenge. And sorry dosto agar sahi se explain naa ho paaye to.
Pahle aapko ek chhoti si story sunata hu.
Ek baar ek scientist ne ek frog ke upar experiment kiya. Usne ek frog ko lekar usne paani se bhare ek bartan me frog ko rakh diya. Aur fir dhire dhire paani ko garm karne laga. Jab paani garm ho raha tha tab frog ne apni body ko paani ke temperature ke hisab se adjust karne laga. Jab paani had se jyada garm ho gaya tab frog paani ke temperature ko sahan nahi kar paaya aur usme se nikalne ki kosis karne laga. Magar dosto usne to apni saari energy paani ki temperature ke hisab se adjust karne me laga diya tha to uske paas ab itni energy nahi thi ki wo us bartan se bahar nikal paaye. Aur fir dhire dhire tadap tadap ke usi bartan me mar gaya.
Dost hamari life bhi isi frog ki tarah hi hai. Dosto humari life me bhi kai baar aise haalat aate hai ki hume in haalato me apne aap ko adjust karna padta hai. Magar dosto hum in haalato me apne aap ko adjust karne me puri energy waste kar dete hai. Dosto hume sikhna padega ki hume kitne samay tak in haalato me adjust karna chahiye aur kab in sabhi haalato se bahar aa jaaana chahiye. Agar humne nahi sikha to humari life bhi is frog ki tarah ho jaayegi. Dosto samay kabhi nahi rukta isiliye mai aapko bolna chahunga ki ek baar aap apni life ke baare me soche. Dosto in sabhi haalato me adjust karne se humara koi fayda nahi hai balki dosto hume ye bhi sikhna padega ki hum kaise in haalato se bahar nikal sakte hai means difficult situation se. Jis din se humne apne haalato me adjust karna chhor diya aur in haalato se ladna suru kar diya to jarur hum kuch saalo baad apne ander kai changes ko dekh paayenge. To dosto in simple haalato me adjust karne ki wajay in haalato se bahar nikalne ki kosis kare.
Thank you guys padhne ke liye. Have a nice evening . I hope aapko achha laga hoga. Share kare is message ko.
And sorry agar sahi se explain naa ho paaya ho to.
Again thank you guys….
A Frog Story (Learn Something Important)
Reviewed by Anuj
on
August 10, 2018
Rating:
No comments: